tamam umr kisi pesh-o-pas mein rahna paDa
tamām 'umr kisī pesh-o-pas meñ rahnā paḌā
tire baġhair tirī dastaras meñ rahnā paḌā
kabhī furāt kī zad meñ kabhī pahāḌoñ par
sulagtī ret kabhī ḳhār-o-ḳhas meñ rahnā paḌā
ba-vaqt-e-naz’ ye asrār khul gayā ki hameñ
tamām 'umr musalsal qafas meñ rahnā paḌā
na.e mizāj ke logoñ ko kis liye āḳhir
qadīm taur-tarīqoñ ke bas meñ rahnā paḌā
pukārnā thā use 'umr bhar mujhe 'armān'
to saaz ban ke sadā-e-jaras meñ rahnā paḌā
tamam 'umr kisi pesh-o-pas mein rahna paDa
tere baghair teri dastaras mein rahna paDa
kabhi furaat ki zad mein kabhi pahaDon par
sulagti ret kabhi KHar-o-KHas mein rahna paDa
ba-waqt-e-naz’ ye asrar khul gaya ki hamein
tamam 'umr musalsal qafas mein rahna paDa
nae mizaj ke logon ko kis liye aaKHir
qadim taur-tariqon ke bas mein rahna paDa
pukarna tha use 'umr bhar mujhe 'arman'
to saz ban ke sada-e-jaras mein rahna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.