tamam umr ko bimar kar gaya ek shaKHs
tamām 'umr ko bīmār kar gayā ik shaḳhs
ye kaisā dard mire dil meñ bhar gayā ik shaḳhs
maiñ kis kitāb meñ tā'bīr us kī dekhūñgā
nazar meñ ḳhvāb sajā kar guzar gayā ik shaḳhs
guzar rahī thī ḳhayāloñ meñ zindagī us kī
zarā jo maiñ ne pukārā to Dar gayā ik shaḳhs
abhī to koī guloñ se mu'āmla na huā
abhī se mere lahū meñ utar gayā ik shaḳhs
samajh meñ aane lage saare khel duniyā ke
kuchh is qadar mujhe hushiyār kar gayā ik shaḳhs
thā merī bāñhoñ meñ kal aaj us kī bāñhoñ meñ
vafā ke naam ko badnām kar gayā ik shaḳhs
junūn-o-vahshat-o-āvārgī ke 'ālam se
guzar huā to udhar hī Thahar gayā ik shaḳhs
ḳhabar ye 'afzal'-e-āshufta-hāl kī hogī
sunā hai raat kisī ġham meñ mar gayā ik shaḳhs
tamam 'umr ko bimar kar gaya ek shaKHs
ye kaisa dard mere dil mein bhar gaya ek shaKHs
main kis kitab mein ta'bir us ki dekhunga
nazar mein KHwab saja kar guzar gaya ek shaKHs
guzar rahi thi KHayalon mein zindagi us ki
zara jo main ne pukara to Dar gaya ek shaKHs
abhi to koi gulon se mu'amla na hua
abhi se mere lahu mein utar gaya ek shaKHs
samajh mein aane lage sare khel duniya ke
kuchh is qadar mujhe hushiyar kar gaya ek shaKHs
tha meri banhon mein kal aaj us ki banhon mein
wafa ke nam ko badnam kar gaya ek shaKHs
junun-o-wahshat-o-awargi ke 'alam se
guzar hua to udhar hi Thahar gaya ek shaKHs
KHabar ye 'afzal'-e-ashufta-haal ki hogi
suna hai raat kisi gham mein mar gaya ek shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.