tamam umr mere dil ko ye ghurur raha
tamām 'umr mire dil ko ye ġhurūr rahā
ki ek lamhe ko ye bhī tire huzūr rahā
junūn-e-dil ki hamesha ḳhirad se duur rahā
tire huzūr rahā jab to bā-shu'ūr rahā
ye tujh se duur rahā yā tire huzūr rahā
'ajab mizāj hai dil kā ki nā-subūr rahā
kab itnā hosh mujhe thā ki ab batā bhī sakūñ
tire qarīb rahā maiñ ki tujh se duur rahā
bas itnī yaad hai ab kaifiyat huzūrī kī
dil-o-nigāh meñ ik 'ālam-e-surūr rahā
kisī tarah bhī kahīñ aur ye rahā ho magar
junūñ mirā tirī mahfil meñ bā-shu'ūr rahā
tamam 'umr mere dil ko ye ghurur raha
ki ek lamhe ko ye bhi tere huzur raha
junun-e-dil ki hamesha KHirad se dur raha
tere huzur raha jab to ba-shu'ur raha
ye tujh se dur raha ya tere huzur raha
'ajab mizaj hai dil ka ki na-subur raha
kab itna hosh mujhe tha ki ab bata bhi sakun
tere qarib raha main ki tujh se dur raha
bas itni yaad hai ab kaifiyat huzuri ki
dil-o-nigah mein ek 'alam-e-surur raha
kisi tarah bhi kahin aur ye raha ho magar
junun mera teri mahfil mein ba-shu'ur raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.