tamam umr mujhe uski aarzu Thahri
tamām umr mujhe us kī aarzū Thahrī
vo ek shaḳhs adāvat hī jis kī ḳhū Thahrī
jhukī to uTh na sakī sharm se nigāh-e-talab
ye aur baat ki phir bhī vo surḳh-rū Thahrī
mire laboñ se udāsī magar na chhūT sakī
hazār sā.at-e-dushvār ḳhush-gulū Thahrī
latīf sub.h kī ThanDak hai zindagī terī
mirī hayāt bharī dopahar kī lū Thahrī
use utaar ki ab saath ye nahīñ degī
qabā-e-kohnagī sharminda-e-rafū Thahrī
'nasīm' raat ThiThurtī hai jā ke so jaao
badan meñ ab vo kahāñ garmī-e-lahū Thahrī
tamam umr mujhe us ki aarzu Thahri
wo ek shaKHs adawat hi jis ki KHu Thahri
jhuki to uTh na saki sharm se nigah-e-talab
ye aur baat ki phir bhi wo surKH-ru Thahri
mere labon se udasi magar na chhuT saki
hazar saat-e-dushwar KHush-gulu Thahri
latif subh ki ThanDak hai zindagi teri
meri hayat bhari dopahar ki lu Thahri
use utar ki ab sath ye nahin degi
qaba-e-kohnagi sharminda-e-rafu Thahri
'nasim' raat ThiThurti hai ja ke so jao
badan mein ab wo kahan garmi-e-lahu Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.