tamam umr raha jis ka intizar mujhe
tamām 'umr rahā jis kā intizār mujhe
milā to ġham se gayā kar ke ham-kanār mujhe
ye kis maqām pe le aa.ī gardish-e-daurāñ
dikhā.ī detā hai har samt hī ġhubār mujhe
mirī nazar meñ hai us kā gulāb sā chehra
jo le ke phuul bhī detā rahā hai ḳhaar mujhe
na bhar sakā jinheñ ai dost vaqt kā marham
kuchh aise zaḳhm bhī de kar ga.ī bahār mujhe
surāġh Duub ke shāyad ḳhushī kā mil jaa.e
abhī utaar na dariyā-e-ġham se paar mujhe
dayār-e-dil meñ huā jaane hādisa kaisā
bahut dinoñ se nahīñ terā intizār mujhe
karūñ maiñ kis se shikāyat ki us ne luuTā hai
habīb apnā jo kahtā thā baar baar mujhe
tamam 'umr raha jis ka intizar mujhe
mila to gham se gaya kar ke ham-kanar mujhe
ye kis maqam pe le aai gardish-e-dauran
dikhai deta hai har samt hi ghubar mujhe
meri nazar mein hai us ka gulab sa chehra
jo le ke phul bhi deta raha hai KHar mujhe
na bhar saka jinhen ai dost waqt ka marham
kuchh aise zaKHm bhi de kar gai bahaar mujhe
suragh Dub ke shayad KHushi ka mil jae
abhi utar na dariya-e-gham se par mujhe
dayar-e-dil mein hua jaane hadisa kaisa
bahut dinon se nahin tera intizar mujhe
karun main kis se shikayat ki us ne luTa hai
habib apna jo kahta tha bar bar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.