tamam umr raha zindagi se uljha hua
tamām umr rahā zindagī se uljhā huā
bayāñ jo harf-e-tamannā kiyā to shikva huā
bichhaḌ ke us se rahā mutma.in kahāñ maiñ bhī
kabhī jo zikr kisī se kiyā to najvā huā
ajiib dast-e-hunar ne hai ye savāl kiyā
mirā vajūd hai kyoñ mujh se aaj rūThā huā
mirā ye shahr mire haal pe taras khaa.e
jahāñ gayā maiñ vahīñ ik nayā tamāsha huā
ye mere log nahīñ khāte rahm kyoñ mujh par
maiñ in ke shahr meñ phirtā huuñ aaj bhaTkā huā
tamam umr raha zindagi se uljha hua
bayan jo harf-e-tamanna kiya to shikwa hua
bichhaD ke us se raha mutmain kahan main bhi
kabhi jo zikr kisi se kiya to najwa hua
ajib dast-e-hunar ne hai ye sawal kiya
mera wajud hai kyon mujh se aaj ruTha hua
mera ye shahr mere haal pe taras khae
jahan gaya main wahin ek naya tamasha hua
ye mere log nahin khate rahm kyon mujh par
main in ke shahr mein phirta hun aaj bhaTka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.