tamam umr safar ka samar milega mujhe
tamām umr safar kā samar milegā mujhe
pas-e-ufuq hī kahīñ ab to ghar milegā mujhe
ye kis liye maiñ ḳhalā-dar-ḳhalā bhaTaktā huuñ
vo kaun hai jo mirā chāñd par milegā mujhe
milā na jis ke liye ghar kā narm garm sukūn
yahīñ kahīñ vo sar-e-rahguzar milegā mujhe
azaab ye hai ki tanhā kaTegī umr tamām
safar ke baad koī ham-safar milegā mujhe
kahīñ dikhā.ī na de kaash chhoḌne vaalā
kahūñgā kyā maiñ use ab agar milegā mujhe
tamam umr safar ka samar milega mujhe
pas-e-ufuq hi kahin ab to ghar milega mujhe
ye kis liye main KHala-dar-KHala bhaTakta hun
wo kaun hai jo mera chand par milega mujhe
mila na jis ke liye ghar ka narm garm sukun
yahin kahin wo sar-e-rahguzar milega mujhe
azab ye hai ki tanha kaTegi umr tamam
safar ke baad koi ham-safar milega mujhe
kahin dikhai na de kash chhoDne wala
kahunga kya main use ab agar milega mujhe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 49)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.