tamam umr ye uqda nahin khula mujhse
tamām umr ye uqda nahīñ khulā mujh se
har ek shaḳhs hai kyūñkar gurez-pā mujh se
ajiib hukm hai us kī sazā bhī maiñ kāTūñ
vo ek jurm jo sarzad nahīñ huā mujh se
maiñ kis tarah se use zindagī samajh letā
jo ek baar bhī khul kar nahīñ milā mujh se
nazar jo us se haTā.ūñ to aisā lagtā hai
koī namāz huī ho kahīñ qazā mujh se
hujūm-e-shahr pe ilzām kis liye 'āsim'
mirā nasīb hī kartā rahā daġhā mujh se
tamam umr ye uqda nahin khula mujh se
har ek shaKHs hai kyunkar gurez-pa mujh se
ajib hukm hai us ki saza bhi main kaTun
wo ek jurm jo sarzad nahin hua mujh se
main kis tarah se use zindagi samajh leta
jo ek bar bhi khul kar nahin mila mujh se
nazar jo us se haTaun to aisa lagta hai
koi namaz hui ho kahin qaza mujh se
hujum-e-shahr pe ilzam kis liye 'asim'
mera nasib hi karta raha dagha mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.