tamam umr yun kiya ki KHwab mein magan rahe
tamām umr yuuñ kiyā ki ḳhvāb meñ magan rahe
samundaroñ kā azm thā sarāb meñ magan rahe
haqīqatoñ ke shahr kī hikāyateñ kuchh aur thiiñ
kamāl thā ki ham faqat kitāb meñ magan rahe
dhuāñ uThā kiyā machal machal ke sahn-o-bām se
charāġh the ki shaam ke shabāb meñ magan rahe
ḳhushī ke naam par tamām umr yuuñ guzar ga.ī
na.e na.e ġhamoñ ke intiḳhāb meñ magan rahe
hameñ to ai 'jamīl' apnī zaat hī nigal ga.ī
vo aur the jo sāqī-o-sharāb meñ magan rahe
tamam umr yun kiya ki KHwab mein magan rahe
samundaron ka azm tha sarab mein magan rahe
haqiqaton ke shahr ki hikayaten kuchh aur thin
kamal tha ki hum faqat kitab mein magan rahe
dhuan uTha kiya machal machal ke sahn-o-baam se
charagh the ki sham ke shabab mein magan rahe
KHushi ke nam par tamam umr yun guzar gai
nae nae ghamon ke intiKHab mein magan rahe
hamein to ai 'jamil' apni zat hi nigal gai
wo aur the jo saqi-o-sharab mein magan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.