tamam umr zaban se yahi to kaam liya
tamām 'umr zabāñ se yahī to kaam liyā
tumhārā naam liyā yā ḳhudā kā naam liyā
mirī zabāñ ne ḳhudāyā ye kis kā naam liyā
jo mujh ko mere tahammul ne baḌh ke thaam liyā
sulā diyā unheñ jaage the jo shab-e-ġham ke
ajal ne apne hī hāthoñ ye nek kaam liyā
jo zarf rakhte haiñ aa’lā vo bāda-kash ham haiñ
kabhī na daur meñ saaqī se uTh ke jaam liyā
nikal chukī thī mire dil se āh-e-ālam-soz
ye kahiye ḳhair huī zabt ne jo thaam liyā
vo kaun hai ye hameñ bhī batāo ai 'rāfat'
ye chupke-chupke abhī jis kā tum ne naam liyā
tamam 'umr zaban se yahi to kaam liya
tumhaara nam liya ya KHuda ka nam liya
meri zaban ne KHudaya ye kis ka nam liya
jo mujh ko mere tahammul ne baDh ke tham liya
sula diya unhen jage the jo shab-e-gham ke
ajal ne apne hi hathon ye nek kaam liya
jo zarf rakhte hain aa’la wo baada-kash hum hain
kabhi na daur mein saqi se uTh ke jam liya
nikal chuki thi mere dil se aah-e-alam-soz
ye kahiye KHair hui zabt ne jo tham liya
wo kaun hai ye hamein bhi batao ai 'rafat'
ye chupke-chupke abhi jis ka tum ne nam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.