tamam zindagi taskin-e-arzu na hui
tamām zindagī taskīn-e-ārzū na huī
ki jaisī chāhī thī vaisī to guftugū na huī
maiñ dil ke zaḳhmoñ kā iz.hār kis tarah kartā
jab aañkh hī tire ġham meñ lahū-lahū na huī
batā rahī hai yahī chāk-dāmanī merī
mirī hayāt kī chādar kabhī rafū na huī
kisī ke bahte hue ashk pī liye the kabhī
phir us ke baa'd mujhe hājat-e-subū na huī
vo dekhtā hai ġharīboñ ko yuuñ haqārat se
ki jaise un kī yahāñ koī aabrū na huī
kisī kī ek jhalak tuur kar ga.ī thī mujhe
kisī ke diid kī phir dil meñ aarzū na huī
tamam zindagi taskin-e-arzu na hui
ki jaisi chahi thi waisi to guftugu na hui
main dil ke zaKHmon ka izhaar kis tarah karta
jab aankh hi tere gham mein lahu-lahu na hui
bata rahi hai yahi chaak-damani meri
meri hayat ki chadar kabhi rafu na hui
kisi ke bahte hue ashk pi liye the kabhi
phir us ke ba'd mujhe hajat-e-subu na hui
wo dekhta hai gharibon ko yun haqarat se
ki jaise un ki yahan koi aabru na hui
kisi ki ek jhalak tur kar gai thi mujhe
kisi ke did ki phir dil mein aarzu na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.