tamasha ban gain nazren jahan dekha jidhar dekha
tamasha ban gain nazren jahan dekha jidhar dekha
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
tamāshā ban ga.iiñ nazreñ jahāñ dekhā jidhar dekhā
tire jalvoñ meñ gum ho kar tujhī ko jalva-gar dekhā
bas itnā tuur par jā kar tajallī kā asar dekhā
ki muusā ne ḳhud apne aap ko bhī be-ḳhabar dekhā
sukūñ milnā kujā taḌpā diyā bīmār-e-hijrāñ ko
ajab andāz-e-dil-jūī tirā ai chārāgar dekhā
vo iisā ho ki ho mansūr yā ahl-e-vafā koī
hamesha tere dīvānoñ ko ham ne daar par dekhā
huā hai jab se dil merā giraftār-e-asīr-e-ġham
na naale hī rasā dekhe na aahoñ meñ asar dekhā
na ho kyoñ lā.eq-e-sad-āfrīñ dīvāna-e-hastī
usī jānib chalā hai rāsta jo pur-ḳhatar dekhā
masīhā.ī tumhārī shohra-e-āfāq hai lekin
kisī dard-āshnā dil ko bhī tum ne jhāñk kar dekhā
tamasha ban gain nazren jahan dekha jidhar dekha
tere jalwon mein gum ho kar tujhi ko jalwa-gar dekha
bas itna tur par ja kar tajalli ka asar dekha
ki musa ne KHud apne aap ko bhi be-KHabar dekha
sukun milna kuja taDpa diya bimar-e-hijran ko
ajab andaz-e-dil-jui tera ai chaaragar dekha
wo isa ho ki ho mansur ya ahl-e-wafa koi
hamesha tere diwanon ko hum ne dar par dekha
hua hai jab se dil mera giraftar-e-asir-e-gham
na nale hi rasa dekhe na aahon mein asar dekha
na ho kyon laeq-e-sad-afrin diwana-e-hasti
usi jaanib chala hai rasta jo pur-KHatar dekha
masihai tumhaari shohra-e-afaq hai lekin
kisi dard-ashna dil ko bhi tum ne jhank kar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.