tamasha KHud ko jo hum su-e-dar karte hain
tamāshā ḳhud ko jo ham sū-e-dār karte haiñ
jo shādmāñ haiñ unheñ sogvār karte haiñ
vo ham ko chhoḌ gayā hai parind kī mānind
daraḳht ban ke so ham intizār karte haiñ
bhulā sake nahīñ ham tujh ko ek bhī lamha
magar bhulāne kī koshish hazār karte haiñ
kabhī ye sochā hai tū ne ki ham se dīvāne
kisī ke ishq meñ kyoñ jāñ-nisār karte haiñ
yaqīn kiije na kiije ye aap kī marzī
mire charāġh havā kā shikār karte haiñ
jo pūchhte haiñ ki karte haiñ kitnā pyaar un se
shumār kaise ho jab be-shumār karte haiñ
vo 'faiz' karte haiñ va.ada har ek hī jhūTā
ḳhatā hamārī jo ham e.atibār karte haiñ
tamasha KHud ko jo hum su-e-dar karte hain
jo shadman hain unhen sogwar karte hain
wo hum ko chhoD gaya hai parind ki manind
daraKHt ban ke so hum intizar karte hain
bhula sake nahin hum tujh ko ek bhi lamha
magar bhulane ki koshish hazar karte hain
kabhi ye socha hai tu ne ki hum se diwane
kisi ke ishq mein kyon jaan-nisar karte hain
yaqin kije na kije ye aap ki marzi
mere charagh hawa ka shikar karte hain
jo puchhte hain ki karte hain kitna pyar un se
shumar kaise ho jab be-shumar karte hain
wo 'faiz' karte hain wada har ek hi jhuTa
KHata hamari jo hum eatibar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.