Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamasha phir sar-e-bazar karna

Fayyaz tahseen

tamasha phir sar-e-bazar karna

Fayyaz tahseen

MORE BYFayyaz tahseen

    tamāshā phir sar-e-bāzār karnā

    phir apne ahd se inkār karnā

    yahī hai mashġhala kār-e-junūñ meñ

    banānā phir use mismār karnā

    fareb-e-ārzū zindagī hai

    sarāboñ meñ safar be-kār karnā

    jise paane ḳhvāhish meñ jiye the

    usī zaat inkār karnā

    jazīre ḳhvāhishoñ raah meñ haiñ

    magar lāzim samundar paar karnā

    jise ik umr kāvish se bhūle

    usī yaad pur-asrār karnā

    darīchoñ se lagī āñkhoñ sūrat

    kabhī chhupnā kabhī iz.hār karnā

    abhī ik āḳhirī sach bolnā hai

    ḳhushī se phir supurd-dār karnā

    tamasha phir sar-e-bazar karna

    phir apne ahd se inkar karna

    yahi hai mashghala kar-e-junun mein

    banana phir use mismar karna

    fareb-e-arzu hi zindagi hai

    sarabon mein safar be-kar karna

    jise pane ki KHwahish mein jiye the

    usi ki zat ka inkar karna

    jazire KHwahishon ki rah mein hain

    magar lazim samundar par karna

    jise ek umr ki kawish se bhule

    usi ki yaad pur-asrar karna

    darichon se lagi aankhon ki surat

    kabhi chhupna kabhi izhaar karna

    abhi ek aaKHiri sach bolna hai

    KHushi se phir supurd-dar karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now