tamashe dekhta jata hun ibrat hoti jati hai
tamashe dekhta jata hun ibrat hoti jati hai
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat
tamāshe dekhtā jaatā huuñ ibrat hotī jaatī hai
mirī nazroñ meñ duniyā be-haqīqat hotī jaatī hai
idhar mashq-e-sitam ke marhale tai hote jaate haiñ
udhar takmīl-e-rūdād-e-mohabbat hotī jaatī hai
tire jalve to badle dete haiñ naqsha hī duniyā kā
ki har tasvīr ik tasvīr-e-hairat hotī jaatī hai
kahāñ kī ārzūeñ kis ke armāñ kaisī ummīdeñ
ab is hangāme se barham tabī.at hotī jaatī hai
ab is manzil ko samjhūñ kaun sī manzil mohabbat kī
ye aalam hai ki vahshat se bhī vahshat hotī jaatī hai
sañbhaltā jā rahā hai dil maiñ un kī yaad ke sadqe
mohabbat chāra-e-dard-e-mohabbat hotī jaatī hai
ye naqsha hai to ġham kī parda-dārī ho chukī 'nudrat'
ki dil kā aa.ina ab merī sūrat hotī jaatī hai
tamashe dekhta jata hun ibrat hoti jati hai
meri nazron mein duniya be-haqiqat hoti jati hai
idhar mashq-e-sitam ke marhale tai hote jate hain
udhar takmil-e-rudad-e-mohabbat hoti jati hai
tere jalwe to badle dete hain naqsha hi duniya ka
ki har taswir ek taswir-e-hairat hoti jati hai
kahan ki aarzuen kis ke arman kaisi ummiden
ab is hangame se barham tabiat hoti jati hai
ab is manzil ko samjhun kaun si manzil mohabbat ki
ye aalam hai ki wahshat se bhi wahshat hoti jati hai
sanbhalta ja raha hai dil main un ki yaad ke sadqe
mohabbat chaara-e-dard-e-mohabbat hoti jati hai
ye naqsha hai to gham ki parda-dari ho chuki 'nudrat'
ki dil ka aaina ab meri surat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.