tamanna muddaa arman dil ke
tamanna mudda.ā armān dil ke
azal se haiñ yahī sāmān dil ke
ilāhī is dil-e-be-chain kī ḳhair
jo qaabū meñ hai ik anjān dil ke
jafā sahnā magar uf tak na karnā
jigar ke maiñ fidā qurbān dil ke
nahīñ aate na aa.eñ vo mire ghar
tasavvur meñ to haiñ mehmān dil ke
kisī kā huuñ kisī kā maiñ abad tak
ye haiñ va.ade ye haiñ paimān dil ke
nabard-e-zindagī mushkil nahīñ hai
ḳhatā lekin na hoñ ausān dil ke
agar hai zindagī ke raag kā shauq
'amīñ' khole raho tum kaan dil ke
tamanna muddaa arman dil ke
azal se hain yahi saman dil ke
ilahi is dil-e-be-chain ki KHair
jo qabu mein hai ek anjaan dil ke
jafa sahna magar uf tak na karna
jigar ke main fida qurban dil ke
nahin aate na aaen wo mere ghar
tasawwur mein to hain mehman dil ke
kisi ka hun kisi ka main abad tak
ye hain wade ye hain paiman dil ke
nabard-e-zindagi mushkil nahin hai
KHata lekin na hon ausan dil ke
agar hai zindagi ke rag ka shauq
'amin' khole raho tum kan dil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.