tamanna dil mein ghar karti bahut hai
tamannā dil meñ ghar kartī bahut hai
havā is dasht meñ chaltī bahut hai
jamānā rañg is duniyā se sīkhe
ki hai to kuchh nahīñ bantī bahut hai
use ik pal kabhī rahne na denā
phaphūñdī qalb par jamtī bahut hai
ki saarī umr añgāre chune haiñ
hathelī haath kī jaltī bahut hai
'suhail-ahmad' samajh kar sarf karnā
zarā sī zindagī lagtī bahut hai
tamanna dil mein ghar karti bahut hai
hawa is dasht mein chalti bahut hai
jamana rang is duniya se sikhe
ki hai to kuchh nahin banti bahut hai
use ek pal kabhi rahne na dena
phaphundi qalb par jamti bahut hai
ki sari umr angare chune hain
hatheli hath ki jalti bahut hai
'suhail-ahmad' samajh kar sarf karna
zara si zindagi lagti bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.