Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamannaon mein uljhe rah gae hain

Waseem Tashif

tamannaon mein uljhe rah gae hain

Waseem Tashif

MORE BYWaseem Tashif

    tamannāoñ meñ uljhe rah ga.e haiñ

    hamāre bachche būḌhe rah ga.e haiñ

    vo āñkheñ kitnā aage chukī haiñ

    samundar kitnā pīchhe rah ga.e haiñ

    abhī tanhā vo guzrī hai yahāñ se

    hazāroñ dil dhaḌakte rah ga.e haiñ

    jinheñ bāñhoñ meñ bhar kar so rahī ho

    bahut achchhe vo takiye rah ga.e haiñ

    ba-zāhir ik nayā-pan aa chukā hai

    magar ye dil purāne rah ga.e haiñ

    ye kis ne ḳhvāb se aa kar jagāyā

    ham us ko chhūte chhūte rah ga.e haiñ

    kisī ko baaġh hāsil ho chuke haiñ

    kahīñ añgūr khaTTe rah ga.e haiñ

    tamannaon mein uljhe rah gae hain

    hamare bachche buDhe rah gae hain

    wo aankhen kitna aage ja chuki hain

    samundar kitna pichhe rah gae hain

    abhi tanha wo guzri hai yahan se

    hazaron dil dhaDakte rah gae hain

    jinhen banhon mein bhar kar so rahi ho

    bahut achchhe wo takiye rah gae hain

    ba-zahir ek naya-pan aa chuka hai

    magar ye dil purane rah gae hain

    ye kis ne KHwab se aa kar jagaya

    hum us ko chhute chhute rah gae hain

    kisi ko bagh hasil ho chuke hain

    kahin angur khaTTe rah gae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now