tamiz-e-kafir-o-momin KHirad ki be-basari
tamīz-e-kāfir-o-momin ḳhirad kī be-basarī
quyūd-e-dair-o-haram haiñ dalīl-e-kam-nazarī
vo ishq kyā ki ho nā-āshnā-e-jazb-o-junūñ
vo zaḳhm kyā ki ho ehsānmand-e-chāragarī
mujhe ḳhulūs ne luuTā to kuchh muravvat ne
adā-shanās-e-vafā kī na pūchh hīla-garī
baġhair soz-e-tamannā fusūn-o-afsāna
fuġhān-e-nīm-shabī ho ki nāla-e-saharī
ye mujh ko kaun sī manzil meñ ishq le aayā
na kaam aa.ī dil-e-nukta-dāñ kī nukta-varī
guloñ se sehn-e-chaman hai abhī tahī-dāman
sikhāo ġhuncha-e-tāza ko fann-e-jāma-varī
havas ne daam bichhā.e haiñ har taraf 'fārūq'
butān-e-asr kī mujh se na pūchh fitnagarī
tamiz-e-kafir-o-momin KHirad ki be-basari
quyud-e-dair-o-haram hain dalil-e-kam-nazari
wo ishq kya ki ho na-ashna-e-jazb-o-junun
wo zaKHm kya ki ho ehsanmand-e-chaaragari
mujhe KHulus ne luTa to kuchh murawwat ne
ada-shanas-e-wafa ki na puchh hila-gari
baghair soz-e-tamanna fusun-o-afsana
fughan-e-nim-shabi ho ki nala-e-sahari
ye mujh ko kaun si manzil mein ishq le aaya
na kaam aai dil-e-nukta-dan ki nukta-wari
gulon se sehn-e-chaman hai abhi tahi-daman
sikhao ghuncha-e-taza ko fann-e-jama-wari
hawas ne dam bichhae hain har taraf 'faruq'
butan-e-asr ki mujh se na puchh fitnagari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.