tamkin hai aur husn-e-gareban hai aur hum
tamkīñ hai aur husn-e-garebāñ hai aur ham
ḳhuddāriyoñ kā ḳhvāb-e-pareshāñ hai aur ham
sāhil se duur ġharq huī kashtī-e-umīd
maujoñ ko chheḌtā huā tūfāñ hai aur ham
kis ne harīm-e-nāz kā parda ulaT diyā
nazroñ meñ ek sho'la-e-larzāñ hai aur ham
terī tajalliyāñ haiñ jahāñ tak nazar ga.ī
asrār-e-kā.enāt kā 'irfāñ hai aur ham
bālīñ se kaun mahv-e-tabassum guzar gayā
ab har nazar bahār-e-bad-amāñ hai aur ham
vāraftagī-e-ishq ne pahuñchā diyā kahāñ
ḳhāmosh ik fazā-e-bayābāñ hai aur ham
ai 'dil' ye sun rahe haiñ ki duniyā badal ga.ī
ab tak unhīñ hadoñ meñ bayābāñ hai aur ham
tamkin hai aur husn-e-gareban hai aur hum
KHuddariyon ka KHwab-e-pareshan hai aur hum
sahil se dur gharq hui kashti-e-umid
maujon ko chheDta hua tufan hai aur hum
kis ne harim-e-naz ka parda ulaT diya
nazron mein ek sho'la-e-larzan hai aur hum
teri tajalliyan hain jahan tak nazar gai
asrar-e-kaenat ka 'irfan hai aur hum
baalin se kaun mahw-e-tabassum guzar gaya
ab har nazar bahaar-e-bad-aman hai aur hum
waraftagi-e-ishq ne pahuncha diya kahan
KHamosh ek faza-e-bayaban hai aur hum
ai 'dil' ye sun rahe hain ki duniya badal gai
ab tak unhin hadon mein bayaban hai aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.