tan-e-KHaki rahega hamrah-e-anwar-e-jaan kab tak
tan-e-KHaki rahega hamrah-e-anwar-e-jaan kab tak
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
tan-e-ḳhākī rahegā hamrah-e-anvār-e-jāñ kab tak
chalegī kārvāñ ke saath gard-e-kārvāñ kab tak
dil-e-vārasta kī vārastagī kā imtihāñ kab tak
jafā-e-dushmanāñ kab tak vafā-e-dostāñ kab tak
idhar bhī ek jhoñkā ai havā-e-fasl-e-āzādī
rahūñ zanjīrī-e-andesha-e-sūd-o-ziyāñ kab tak
nasīm-e-fasl-e-gul aa.ī na in bārah mahīnoñ meñ
rahegā baaġh meñ ai bāġhbāñ daur-e-ḳhizāñ kab tak
na kyuuñ ham dīda-e-ḳhūñ-bār se gul-kāriyāñ kar leñ
raheñ āḳhir ba-ummīd-e-bahār-e-gul-fashāñ kab tak
vatan kī yaad miTte miTte miT jaatī hai ġhurbat meñ
qafas meñ tābish-e-dāġh-e-firāq-e-āshiyāñ kab tak
ajal aa kar buland-o-past ko hamvār kar degī
koī bālā-nashīñ kab tak koī pastī-nishāñ kab tak
subuk hai yā garāñ ai zindagī āḳhir hai tū apnī
tujhe apnā.eñge tujh se raheñge sar-garāñ kab tak
ujāḌī jā.egī kab tak zamīñ az bahr-e-ābādī
laḌī jā.eñgī jangeñ az pai-e-amn-o-amāñ kab tak
sila husn-e-amal kā ḳhūn-e-dil hai is zamāne meñ
mire kaam aa.egī rangīnī-e-husn-e-bayāñ kab tak
vahī ik hasrat-e-nākām hai aur us kā ronā hai
kiye jāoge 'mahrūm' us ko zeb-e-dāstāñ kab tak
tan-e-KHaki rahega hamrah-e-anwar-e-jaan kab tak
chalegi karwan ke sath gard-e-karwan kab tak
dil-e-warasta ki warastagi ka imtihan kab tak
jafa-e-dushmanan kab tak wafa-e-dostan kab tak
idhar bhi ek jhonka ai hawa-e-fasl-e-azadi
rahun zanjiri-e-andesha-e-sud-o-ziyan kab tak
nasim-e-fasl-e-gul aai na in barah mahinon mein
rahega bagh mein ai baghban daur-e-KHizan kab tak
na kyun hum dida-e-KHun-bar se gul-kariyan kar len
rahen aaKHir ba-ummid-e-bahaar-e-gul-fashan kab tak
watan ki yaad miTte miTte miT jati hai ghurbat mein
qafas mein tabish-e-dagh-e-firaq-e-ashiyan kab tak
ajal aa kar buland-o-past ko hamwar kar degi
koi baala-nashin kab tak koi pasti-nishan kab tak
subuk hai ya garan ai zindagi aaKHir hai tu apni
tujhe apnaenge tujh se rahenge sar-garan kab tak
ujaDi jaegi kab tak zamin az bahr-e-abaadi
laDi jaengi jangen az pai-e-amn-o-aman kab tak
sila husn-e-amal ka KHun-e-dil hai is zamane mein
mere kaam aaegi rangini-e-husn-e-bayan kab tak
wahi ek hasrat-e-nakaam hai aur us ka rona hai
kiye jaoge 'mahrum' us ko zeb-e-dastan kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.