Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tan kahin dekha gaya aur sar kahin dekha gaya

Anees Ashfaq

tan kahin dekha gaya aur sar kahin dekha gaya

Anees Ashfaq

MORE BYAnees Ashfaq

    tan kahīñ dekhā gayā aur sar kahīñ dekhā gayā

    tere shahr-e-ḳhūñ ye manzar kahīñ dekhā gayā

    de rahā ho ḳhud amīr-e-shahr sho'loñ ko havā

    jal rahā ho ḳhud usī ghar kahīñ dekhā gayā

    bas usī par ḳhatm thī ye 'ishq dīvāngī

    jo lagā majnūñ ko vo patthar kahīñ dekhā gayā

    ram jo karnā hai mujhe to aur jā.uñgā kahāñ

    koī vahshī dasht se bāhar kahīñ dekhā gayā

    kaam ham takiya-nashīnoñ ko shahanshāhī se kyā

    taaj ahl-e-faqr ke sar par kahīñ dekhā gayā

    vo to bas rakhnā thā merī mushk ko mahrūm-e-āb

    varna dariyā par koī lashkar kahīñ dekhā gayā

    vo hañsā to sau charāġhoñ laveñ raushan huiiñ

    yuuñ lab-e-ḳhandāñ ko jalva-gar kahīñ dekhā gayā

    kal nikalte the zabān-e-shaiḳh se sho'le bahut

    varna yuuñ jaltā huā mimbar kahīñ dekhā gayā

    hai azal se āftāb-e-auj sheva 'anīs'

    der tak Thahrā kahīñ dam bhar kahīñ dekhā gayā

    tan kahin dekha gaya aur sar kahin dekha gaya

    tere shahr-e-KHun ka ye manzar kahin dekha gaya

    de raha ho KHud amir-e-shahr sho'lon ko hawa

    jal raha ho KHud usi ka ghar kahin dekha gaya

    bas usi par KHatm thi ye 'ishq ki diwangi

    jo laga majnun ko wo patthar kahin dekha gaya

    ram jo karna hai mujhe to aur jaunga kahan

    koi wahshi dasht se bahar kahin dekha gaya

    kaam hum takiya-nashinon ko shahanshahi se kya

    taj ahl-e-faqr ke sar par kahin dekha gaya

    wo to bas rakhna tha meri mushk ko mahrum-e-ab

    warna dariya par koi lashkar kahin dekha gaya

    wo hansa to sau charaghon ki lawen raushan huin

    yun lab-e-KHandan ko jalwa-gar kahin dekha gaya

    kal nikalte the zaban-e-shaiKH se sho'le bahut

    warna yun jalta hua mimbar kahin dekha gaya

    hai azal se aaftab-e-auj ka shewa 'anis'

    der tak Thahra kahin dam bhar kahin dekha gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now