tan par ahbab ke hum KHunin qaba dekhte hain
tan par ahbāb ke ham ḳhūnīñ qabā dekhte haiñ
kaun is jurm kī paatā hai sazā dekhte haiñ
nāḳhudā ne hameñ mañjhdār meñ lā kar chhoḌā
kyā hai apne liye farmān-e-ḳhudā dekhte haiñ
hameñ kar detā hai ehsās-e-nadāmat zaḳhmī
nutq jab oḌhe ḳhamoshī kī ridā dekhte haiñ
gul sharar-bār haiñ shabnam bhī lahū rotī hai
muzhda kyā laa.e hai ab mauj-e-sabā dekhte haiñ
phir hai mā'sūmiyat-e-husn pe yalġhār-e-gunāh
phir lahū-rang huā dast-e-hinā dekhte haiñ
dīn-o-īmāñ ke parastār bichāre din raat
sahme sahme hue tāsīr-e-du’ā dekhte haiñ
'ishq hī baḳhshe hai ḳhush-manzarī ham ko 'gauhar'
varna yaañ silsila-e-raqs-e-qazā dekhte haiñ
tan par ahbab ke hum KHunin qaba dekhte hain
kaun is jurm ki pata hai saza dekhte hain
naKHuda ne hamein manjhdar mein la kar chhoDa
kya hai apne liye farman-e-KHuda dekhte hain
hamein kar deta hai ehsas-e-nadamat zaKHmi
nutq jab oDhe KHamoshi ki rida dekhte hain
gul sharar-bar hain shabnam bhi lahu roti hai
muzhda kya lae hai ab mauj-e-saba dekhte hain
phir hai ma'sumiyat-e-husn pe yalghaar-e-gunah
phir lahu-rang hua dast-e-hina dekhte hain
din-o-iman ke parastar bichaare din raat
sahme sahme hue tasir-e-du’a dekhte hain
'ishq hi baKHshe hai KHush-manzari hum ko 'gauhar'
warna yan silsila-e-raqs-e-qaza dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.