tan se jab tak sans ka rishta rahega
tan se jab tak saañs kā rishta rahegā
mere ashkoñ meñ tirā hissa rahegā
duur tak koī shanāsā ho nahīñ ho
bhiiḌ meñ achchhā magar lagtā rahegā
aise chhuTkārā nahīñ denā hai us ko
maiñ agar mar jā.ūñ to kaisā rahegā
tai to hai algāv bas ye sochnā hai
kaun sī rut meñ ye dukh achchhā rahegā
ḳhud se merī sulh mumkin hī nahīñ hai
jab talak is ghar meñ ā.īna rahegā
yuuñ to ab bistar hai aur bīmār lekin
saañs lene meñ maza aatā rahegā
maiñ ne kitne din kisī ko yaad rakkhā
vo bhī kyuuñ mere liye rotā rahegā
tan se jab tak sans ka rishta rahega
mere ashkon mein tera hissa rahega
dur tak koi shanasa ho nahin ho
bhiD mein achchha magar lagta rahega
aise chhuTkara nahin dena hai us ko
main agar mar jaun to kaisa rahega
tai to hai algaw bas ye sochna hai
kaun si rut mein ye dukh achchha rahega
KHud se meri sulh mumkin hi nahin hai
jab talak is ghar mein aaina rahega
yun to ab bistar hai aur bimar lekin
sans lene mein maza aata rahega
main ne kitne din kisi ko yaad rakkha
wo bhi kyun mere liye rota rahega
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 62)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.