tan se juda hai sans magar eatibar hai
tan se judā hai saañs magar e.atibār hai
be-vaqt ho chukā huuñ magar intizār hai
jazbāt ke hubāb se kis ko farār hai
jo dā.era kaTā hai vo aadhā hisār hai
muddat se be-libās mirī zindagī kā raaz
ab tak mire vajūd pe kis kā nikhār hai
azmat ne kar diyā hai use kis qadar buland
vo saañs bhī jo le to lage kārobār hai
phūloñ ko raas aa gayā banjar havā kā saath
kahte haiñ muskurā ke ye ahd-e-bahār hai
honā to merā jabr thā lekin 'amar' abhī
jab tak maiñ jī rahā huuñ mujhe iḳhtiyār hai
tan se juda hai sans magar eatibar hai
be-waqt ho chuka hun magar intizar hai
jazbaat ke hubab se kis ko farar hai
jo daera kaTa hai wo aadha hisar hai
muddat se be-libas meri zindagi ka raaz
ab tak mere wajud pe kis ka nikhaar hai
azmat ne kar diya hai use kis qadar buland
wo sans bhi jo le to lage karobar hai
phulon ko ras aa gaya banjar hawa ka sath
kahte hain muskura ke ye ahd-e-bahaar hai
hona to mera jabr tha lekin 'amar' abhi
jab tak main ji raha hun mujhe iKHtiyar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.