tang hum par bhi hamari duniya
tañg ham par bhī hamārī duniyā
dushman-e-ishq hai saarī duniyā
ziist kī manzil-e-maqsūd nahīñ
āḳhirat kī hai savārī duniyā
ham bhī allāh ke pyāre uTTheñ
jab ho allāh ko pyārī duniyā
uñgliyoñ par ye nachā.e sab ko
chāhtī kyā hai madārī duniyā
ham ki duniyā ke nahīñ dīvāne
muḳhtalif tum se hamārī duniyā
kyoñ panaptā hai daraḳht-e-ulfat
kyoñ chalā detī hai aarī duniyā
saarī duniyā ko harāne vaalī
ek darvesh se haarī duniyā
āhu-e-vaqt kahāñ hai 'rāġhib'
kis ke pīchhe hai shikārī duniyā
tang hum par bhi hamari duniya
dushman-e-ishq hai sari duniya
zist ki manzil-e-maqsud nahin
aaKHirat ki hai sawari duniya
hum bhi allah ke pyare uTThen
jab ho allah ko pyari duniya
ungliyon par ye nachae sab ko
chahti kya hai madari duniya
hum ki duniya ke nahin diwane
muKHtalif tum se hamari duniya
kyon panapta hai daraKHt-e-ulfat
kyon chala deti hai aari duniya
sari duniya ko harane wali
ek darwesh se haari duniya
aahu-e-waqt kahan hai 'raghib'
kis ke pichhe hai shikari duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.