tang-nazri mein har ek dana ki danai gai
tang-nazrī meñ har ik daanā kī dānā.ī ga.ī
hādsoñ ke shahr meñ āñkhoñ kī bīnā.ī ga.ī
phuul kī ḳhushbū ga.ī shāḳhoñ kī añgḌā.ī ga.ī
bāġhbāñ aise mile gulshan kī rā'nā.ī ga.ī
sīm-o-zar kī kokh meñ palte rahe fitne fasād
muflisī har daur meñ suulī pe laTkā.ī ga.ī
chhoTī chhoTī baat pe hone lagīñ ḳhūñ-reziyāñ
hilm banda-parvarī shān-e-shakebā.ī ga.ī
merī sachchā.ī pe 'ādil ko na aa.egā yaqīn
is 'adālat meñ bahut jhūTī qasam khaa.ī ga.ī
jab nazar badlī to dil bhī ho gayā kotāh-bīñ
dard kī vus'at ga.ī zaḳhmoñ kī gahrā.ī ga.ī
jaag uThe insān kā soyā huā shāyad zamīr
sub.h-e-nau is aarzū meñ baar baar aa.ī ga.ī
qaum-o-millat ke liye 'irfān' kyā karte jihād
zar zamīñ ke vāste saarī tavānā.ī ga.ī
tang-nazri mein har ek dana ki danai gai
hadson ke shahr mein aankhon ki binai gai
phul ki KHushbu gai shaKHon ki angDai gai
baghban aise mile gulshan ki ra'nai gai
sim-o-zar ki kokh mein palte rahe fitne fasad
muflisi har daur mein suli pe laTkai gai
chhoTi chhoTi baat pe hone lagin KHun-reziyan
hilm banda-parwari shan-e-shakebai gai
meri sachchai pe 'adil ko na aaega yaqin
is 'adalat mein bahut jhuTi qasam khai gai
jab nazar badli to dil bhi ho gaya kotah-bin
dard ki wus'at gai zaKHmon ki gahrai gai
jag uThe insan ka soya hua shayad zamir
subh-e-nau is aarzu mein bar bar aai gai
qaum-o-millat ke liye 'irfan' kya karte jihad
zar zamin ke waste sari tawanai gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.