tanha amin-e-jurat-e-izhaar main hi tha
tanhā amīn-e-jur.at-e-iz.hār maiñ hī thā
shāyad isī binā pe sar-e-dār maiñ hī thā
sab kī nazar thī us kī 'ināyāt kī taraf
lekin harīs-e-lazzat-e-āzār meñ hī thā
dekhā hai jhāñk kar jo kabhī apnī zaat meñ
aisā lagā ki sirf gunahgār maiñ hī thā
kuchh maiñ hī jāntā huuñ kamī jo bhī mujh meñ hai
kahne ko ek sāhab-e-kirdār maiñ hī thā
maiñ hī thā jis pe jaan chhiḌakte the tum kabhī
kuchh yaad hai tujhe tirā dil-dār maiñ hī thā
kyoñ sirf mere haath qalam kar diye ga.e
shāyad akelā shahr meñ fankār maiñ hī thā
mamba’ thī ḳhair-o-shar kā mirī apnī zaat hī
apnī anā se barsar-e-paikār maiñ hī thā
mujh par hī thā ‘itāb-e-zamāna tamām 'umr
shahr-e-vafā meñ sāhib-e-pindār maiñ hī thā
ahl-e-ḳhirad bhī karte haiñ ab pairvī 'zakī'
dasht-e-junūñ meñ qāfila-sālār maiñ hī thā
tanha amin-e-jurat-e-izhaar main hi tha
shayad isi bina pe sar-e-dar main hi tha
sab ki nazar thi us ki 'inayat ki taraf
lekin haris-e-lazzat-e-azar mein hi tha
dekha hai jhank kar jo kabhi apni zat mein
aisa laga ki sirf gunahgar main hi tha
kuchh main hi jaanta hun kami jo bhi mujh mein hai
kahne ko ek sahab-e-kirdar main hi tha
main hi tha jis pe jaan chhiDakte the tum kabhi
kuchh yaad hai tujhe tera dil-dar main hi tha
kyon sirf mere hath qalam kar diye gae
shayad akela shahr mein fankar main hi tha
mamba’ thi KHair-o-shar ka meri apni zat hi
apni ana se barsar-e-paikar main hi tha
mujh par hi tha ‘itab-e-zamana tamam 'umr
shahr-e-wafa mein sahib-e-pindar main hi tha
ahl-e-KHirad bhi karte hain ab pairwi 'zaki'
dasht-e-junun mein qafila-salar main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.