tanha har ek rah se guzar jaana chahiye
tanhā har ek rah se guzar jaanā chāhiye
jaise jiye haiñ vaise hī mar jaanā chāhiye
jaane ye dil kā dard kahāñ tak satā.egā
dariyā chaḌhe to us ko utar jaanā chāhiye
bujh kar vajūd-e-sho.ala sulagtā hai kis liye
maiñ raakh huuñ to mujh ko bikhar jaanā chāhiye
āvārgī meñ kab se guzartī hai raat bhī
āḳhir kabhī to shaam ko ghar jaanā chāhiye
ai dosto khaḌe ho mire gird kis liye
koī batāo mujh ko kidhar jaanā chāhiye
har jalva-e-jamāl se tañg aa chukā hai jī
ik roz zindagī se bhī bhar jaanā chāhiye
'jamshed' sun rahe ho safar kī pukār kyā
tūfāñ ko yuuñ na rah meñ Thahar jaanā chāhiye
tanha har ek rah se guzar jaana chahiye
jaise jiye hain waise hi mar jaana chahiye
jaane ye dil ka dard kahan tak sataega
dariya chaDhe to us ko utar jaana chahiye
bujh kar wajud-e-shoala sulagta hai kis liye
main rakh hun to mujh ko bikhar jaana chahiye
aawargi mein kab se guzarti hai raat bhi
aaKHir kabhi to sham ko ghar jaana chahiye
ai dosto khaDe ho mere gird kis liye
koi batao mujh ko kidhar jaana chahiye
har jalwa-e-jamal se tang aa chuka hai ji
ek roz zindagi se bhi bhar jaana chahiye
'jamshed' sun rahe ho safar ki pukar kya
tufan ko yun na rah mein Thahar jaana chahiye
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 577)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.