tanha jo kisi raat zara dur chala hun
tanhā jo kisī raat zarā duur chalā huuñ
maiñ apne hī saa.e se ka.ī baar Darā huuñ
jhūmar kī tarah nuqra.ī māthe pe sajā thā
kājal kī tarah sharbatī āñkhoñ se bahā huuñ
tum bhāgte lamhoñ kī tarah garm-e-safar ho
maiñ ek apāhij kī tarah ghar meñ paḌā huuñ
tū raat ke māthe pe thā mahtāb kī sūrat
haale kī tarah maiñ tire atrāf rahā huuñ
ubhregā tirī yaad kā ḳhurshīd vahīñ se
tanhā.ī ke jis tiira ufuq par maiñ khaḌā huuñ
tanha jo kisi raat zara dur chala hun
main apne hi sae se kai bar Dara hun
jhumar ki tarah nuqrai mathe pe saja tha
kajal ki tarah sharbati aankhon se baha hun
tum bhagte lamhon ki tarah garm-e-safar ho
main ek apahij ki tarah ghar mein paDa hun
tu raat ke mathe pe tha mahtab ki surat
haale ki tarah main tere atraf raha hun
ubhrega teri yaad ka KHurshid wahin se
tanhai ke jis tera ufuq par main khaDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.