tanha khaDe hain hum sar-e-bazar kya karen
tanhā khaḌe haiñ ham sar-e-bāzār kyā kareñ
koī nahīñ hai ġham kā ḳharīdār kyā kareñ
ai kam-nasīb dil tū magar chāhtā hai kyā
sannyās le leñ chhoḌ deñ ghar-bār kyā kareñ
uljhā ke ḳhud hī ziist ke ik ek taar ko
ḳhud se savāl karte haiñ har baar kyā kareñ
ik umr tak jo ziist kā hāsil banī rahīñ
pāmāl ho rahī haiñ vo aqdār kyā kareñ
hai puurī kā.enāt kā chehra dhuāñ dhuāñ
ġhazloñ meñ zikr-e-yār tarah-dār kyā kareñ
is dohrī zindagī meñ bhī lākhoñ azaab haiñ
duniyā se dil hai barsar-e-paikār kyā kareñ
tanha khaDe hain hum sar-e-bazar kya karen
koi nahin hai gham ka KHaridar kya karen
ai kam-nasib dil tu magar chahta hai kya
sannyas le len chhoD den ghar-bar kya karen
uljha ke KHud hi zist ke ek ek tar ko
KHud se sawal karte hain har bar kya karen
ek umr tak jo zist ka hasil bani rahin
pamal ho rahi hain wo aqdar kya karen
hai puri kaenat ka chehra dhuan dhuan
ghazlon mein zikr-e-yar tarah-dar kya karen
is dohri zindagi mein bhi lakhon azab hain
duniya se dil hai barsar-e-paikar kya karen
- Book : Shab Zaad (Pg. 117)
- Author : Shabnam Shakeel
- Publication : Mavaraa Publications (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.