tanha kis tarah jiya jae ye ab sochte hain
tanhā kis tarah jiyā jaa.e ye ab sochte haiñ
shahr meñ kis se milā jaa.e ye ab sochte haiñ
jaanī pahchānī sabhī sūrateñ ḳhāmosh huiiñ
hāl-e-dil kis se kahā jaa.e ye ab sochte haiñ
koī maqsad na koī raah na koī manzil
is tarah kaise jiyā jaa.e ye ab sochte haiñ
shahr meñ koī bhī hangāma nahīñ ab ke baras
koī ilzām liyā jaa.e ye ab sochte haiñ
ek chaurāhe pe ḳhāmosh khaḌe haiñ 'rahmat'
kaun sī samt chalā jaa.e ye ab sochte haiñ
tanha kis tarah jiya jae ye ab sochte hain
shahr mein kis se mila jae ye ab sochte hain
jaani pahchani sabhi suraten KHamosh huin
haal-e-dil kis se kaha jae ye ab sochte hain
koi maqsad na koi rah na koi manzil
is tarah kaise jiya jae ye ab sochte hain
shahr mein koi bhi hangama nahin ab ke baras
koi ilzam liya jae ye ab sochte hain
ek chaurahe pe KHamosh khaDe hain 'rahmat'
kaun si samt chala jae ye ab sochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.