tanha raaton ko bahar-haal jawan karna hai
tanhā rātoñ ko bahar-hāl javāñ karnā hai
raushnī kar na sake ham to dhuāñ karnā hai
kaash yaad aa.e koī bichhḌā musāfir ki hameñ
aañkh meñ Thahre hue nam ko ravāñ karnā hai
aur ik ḳhvāb ko lafzoñ meñ numū denī hai
aur ik raat ko āñkhoñ se bayāñ karnā hai
ek tasvīr banānī hai kisī saa.e kī
aur tasvīr ke rangoñ ko 'ayāñ karnā hai
kaun samjhā.e bhalā ye na.e dīvānoñ ko
ḳhaak uḌānī hai kidhar raqs kahāñ karnā hai
tanha raaton ko bahar-haal jawan karna hai
raushni kar na sake hum to dhuan karna hai
kash yaad aae koi bichhDa musafir ki hamein
aankh mein Thahre hue nam ko rawan karna hai
aur ek KHwab ko lafzon mein numu deni hai
aur ek raat ko aankhon se bayan karna hai
ek taswir banani hai kisi sae ki
aur taswir ke rangon ko 'ayan karna hai
kaun samjhae bhala ye nae diwanon ko
KHak uDani hai kidhar raqs kahan karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.