tanha the hum na dur na koi qarib tha
tanha the hum na dur na koi qarib tha
Syed Abdus Sattar Mufti
MORE BYSyed Abdus Sattar Mufti
tanhā the ham na duur na koī qarīb thā
kashtī ke Dūbne kā bhī manzar 'ajīb thā
sochā thā jiit lūñgā mohabbat kī qurbateñ
lekin kahāñ maiñ itnā baḌā ḳhush-nasīb thā
aaya tirī galī meñ to jannat meñ aa gayā
niklā to yuuñ lagā ki jahannum-nasīb thā
ye sirf tere soz-e-mohabbat kā thā asar
shā'ir nahīñ thā koī na koī adiib thā
yāroñ pe kyā lagā.eñ ḳhayānat kī tohmateñ
bazm-e-vafā meñ dil hī hamārā raqīb thā
yā maiñ javāb dene kī jur.at na kar sakā
yā aap kā savāl ‘ajīb-o-ġharīb thā
duniyā ne hī kiyā hameñ nafrat se āshnā
varna 'adū bhī apnī nazar meñ habīb thā
sāhil kī aarzū bhī nazar meñ na aa sakī
TuuTī huī thī kashtī samundar muhīb thā
milnā baḌā muhāl thā us shoḳh se mirā
jitnā thā vo ra.iis maiñ utnā ġharīb thā
har gaam par thiiñ bhūl-bhulayyāñ khulī huiiñ
naqsha tumhāre shahr kā kitnā 'ajīb thā
tanha the hum na dur na koi qarib tha
kashti ke Dubne ka bhi manzar 'ajib tha
socha tha jit lunga mohabbat ki qurbaten
lekin kahan main itna baDa KHush-nasib tha
aaya teri gali mein to jannat mein aa gaya
nikla to yun laga ki jahannum-nasib tha
ye sirf tere soz-e-mohabbat ka tha asar
sha'ir nahin tha koi na koi adib tha
yaron pe kya lagaen KHayanat ki tohmaten
bazm-e-wafa mein dil hi hamara raqib tha
ya main jawab dene ki jurat na kar saka
ya aap ka sawal ‘ajib-o-gharib tha
duniya ne hi kiya hamein nafrat se aashna
warna 'adu bhi apni nazar mein habib tha
sahil ki aarzu bhi nazar mein na aa saki
TuTi hui thi kashti samundar muhib tha
milna baDa muhaal tha us shoKH se mera
jitna tha wo rais main utna gharib tha
har gam par thin bhul-bhulayyan khuli huin
naqsha tumhaare shahr ka kitna 'ajib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.