tanhai ka zaKHm tha kaisa sannaTon ne bhara namak
tanhā.ī kā zaḳhm thā kaisā sannāToñ ne bharā namak
aisā chhalkā zaḳhm ki saarā palkoñ se bah gayā namak
halve māñDe sab mīThe the khā pī kar vo bhuul ga.e
talḳh anāsir kā sangam thā rag rag meñ rah gayā namak
zaḳhmoñ ke gul kyā dho.egī rut rasiyā barsāt jahāñ
har mausam har aan bikhere chaltī phirtī havā namak
añgḌā.ī kī mehrāboñ meñ rang-e-dhanak vo kyuuñ na bhareñ
jin kī har har baat rasīlī jin kī har har adā namak
lekh lifāfe se bāhar thā surḳhī thī mazmūn ba-kaf
masak ga.iiñ mīThī muskāneñ hoñT khule aur girā namak
jaane kyā kyā aks ugalte khul kar dhuñdle ā.īne
aTe hue zaḳhmoñ par 'rāhī' kaun chhiḌaktā kharā namak
tanhai ka zaKHm tha kaisa sannaTon ne bhara namak
aisa chhalka zaKHm ki sara palkon se bah gaya namak
halwe manDe sab miThe the kha pi kar wo bhul gae
talKH anasir ka sangam tha rag rag mein rah gaya namak
zaKHmon ke gul kya dhoegi rut rasiya barsat jahan
har mausam har aan bikhere chalti phirti hawa namak
angDai ki mehrabon mein rang-e-dhanak wo kyun na bharen
jin ki har har baat rasili jin ki har har ada namak
lekh lifafe se bahar tha surKHi thi mazmun ba-kaf
masak gain miThi muskanen honT khule aur gira namak
jaane kya kya aks ugalte khul kar dhundle aaine
aTe hue zaKHmon par 'rahi' kaun chhiDakta khara namak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.