tanhai mein bhi KHud se milo to mila na jae

tanhai mein bhi KHud se milo to mila na jae
Aleem Akhtar muzaffarnagri
MORE BYAleem Akhtar muzaffarnagri
tanhā.ī meñ bhī ḳhud se milo to milā na jaa.e
saa.e kī tarh saath raho to rahā na jaa.e
sannāTe se ubhar to rahī hai koī sadā
ye aur baat hai ki suno to sunā na jaa.e
allāh re ye kaifiyat-e-ehtiyāt-e-'ishq
ḳhat meñ bhī harf-e-shauq likho to likhā na jaa.e
kyā harf-e-mudda'ā koī iqrār-e-jurm hai
ab vo bhī kah rahe haiñ kaho to kahā na jaa.e
ye kyā ki sū-e-dasht uTheñ ḳhud-baḳhud qadam
ābādiyoñ kī samt chalo to chalā na jaa.e
is tarh thak ke baiTh rahe ham-rahān-e-shauq
manzil bhī ḳhud kahe ki uTho to uThā na jaa.e
jām-e-mai-e-nashāt koī zahr to nahīñ
ye kyā ki ek ghūñT piyo to piyā na jaa.e
laa.ī hai is maqām pe bechārgī-e-ġham
vo bhī agar kaheñ ki maro to marā na jaa.e
'aḳhtar' yaqīn-e-vā’da-e-fardā to kar liyā
īfā-e-'ahd tak hī jiyo to jiyā na jaa.e
tanhai mein bhi KHud se milo to mila na jae
sae ki tarh sath raho to raha na jae
sannaTe se ubhar to rahi hai koi sada
ye aur baat hai ki suno to suna na jae
allah re ye kaifiyat-e-ehtiyat-e-'ishq
KHat mein bhi harf-e-shauq likho to likha na jae
kya harf-e-mudda'a koi iqrar-e-jurm hai
ab wo bhi kah rahe hain kaho to kaha na jae
ye kya ki su-e-dasht uThen KHud-baKHud qadam
aabaadiyon ki samt chalo to chala na jae
is tarh thak ke baiTh rahe ham-rahan-e-shauq
manzil bhi KHud kahe ki uTho to uTha na jae
jam-e-mai-e-nashat koi zahr to nahin
ye kya ki ek ghunT piyo to piya na jae
lai hai is maqam pe bechaargi-e-gham
wo bhi agar kahen ki maro to mara na jae
'aKHtar' yaqin-e-wa’da-e-farda to kar liya
ifa-e-'ahd tak hi jiyo to jiya na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.