tanhai mein karta hai fasadat ki baaten
tanhā.ī meñ kartā hai fasādāt kī bāteñ
mahfil meñ kare hai jo musāvāt kī bāteñ
tum jab se ga.e ho yahī do chaar bachī haiñ
din raat kī barsāt kī be-bāt kī bāteñ
phūloñ ko masaltā hai baḌī sang-dilī se
kaliyoñ se vo kartā huā bāġhāt kī bāteñ
shab-bhar ke añdheroñ se savālāt kā 'ālam
din bhar ke ujāloñ se javābāt kī bāteñ
āñkhoñ se jo dikhtā hai vo samjhā nahīñ jaatā
maiñ kaise karūñ ramz-o-ishārāt kī bāteñ
tanhai mein karta hai fasadat ki baaten
mahfil mein kare hai jo musawat ki baaten
tum jab se gae ho yahi do chaar bachi hain
din raat ki barsat ki be-baat ki baaten
phulon ko masalta hai baDi sang-dili se
kaliyon se wo karta hua baghat ki baaten
shab-bhar ke andheron se sawalat ka 'alam
din bhar ke ujalon se jawabaat ki baaten
aankhon se jo dikhta hai wo samjha nahin jata
main kaise karun ramz-o-ishaaraat ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.