tanhai ne wo raqs-o-tamasha kiya ki wah
tanhā.ī ne vo raqs-o-tamāsha kiyā ki vaah
aisā jahāñ meñ ishq ne rusvā kiyā ki vaah
dushman bhī merī ḳhāk-e-qadam chuum kar ga.e
aisī anā se maiñ ne guzārā kiyā ki vaah
us kī jafā ko maiñ ne yuuñ baḳhshīñ bulandiyāñ
us ko banā ke devtā sajda kiyā ki vaah
girdāb-e-vaqt meñ merī kashtī ko dekh kar
apnoñ ne muskurā ke kinārā kiyā ki vaah
zaḳhmoñ ke har bhañvar meñ ubhar aa.ī kahkashāñ
ik chārāgar ne aisā mudāvā kiyā ki vaah
ashkoñ ne vo dikhā.e kamālāt ishq meñ
dīvār-o-dar ko ḳhūb-rū sabza kiyā ki vaah
khulne diyā na ranj kā koī bhī mudda.ā
aisī adā se ishq kā shikva kiyā ki vaah
vo ḳhushbuoñ kī mauj hai phūloñ kī hai adā
aise mire nafas meñ baserā kiyā ki vaah
degā misāl vaqt bhī us ke kamāl kī
yuuñ 'sāhiba' ne dasht ko dariyā kiyā ki vaah
tanhai ne wo raqs-o-tamasha kiya ki wah
aisa jahan mein ishq ne ruswa kiya ki wah
dushman bhi meri KHak-e-qadam chum kar gae
aisi ana se main ne guzara kiya ki wah
us ki jafa ko main ne yun baKHshin bulandiyan
us ko bana ke dewta sajda kiya ki wah
girdab-e-waqt mein meri kashti ko dekh kar
apnon ne muskura ke kinara kiya ki wah
zaKHmon ke har bhanwar mein ubhar aai kahkashan
ek chaaragar ne aisa mudawa kiya ki wah
ashkon ne wo dikhae kamalat ishq mein
diwar-o-dar ko KHub-ru sabza kiya ki wah
khulne diya na ranj ka koi bhi muddaa
aisi ada se ishq ka shikwa kiya ki wah
wo KHushbuon ki mauj hai phulon ki hai ada
aise mere nafas mein basera kiya ki wah
dega misal waqt bhi us ke kamal ki
yun 'sahiba' ne dasht ko dariya kiya ki wah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.