tanhai se sahra se na dariya ke bhanwar se
tanhā.ī se sahrā se na dariyā ke bhañvar se
vahshat mujhe hotī hai mire apne hī ghar se
chunñā hai mujhe dil bhī abhī qarya-ba-qarya
āñkheñ bhī uThānī haiñ tirī rāhguzar se
ik nazar-e-karam ke liye kaun umr guzāre
ik bosa-e-lab ke liye kab tak koī tarse
mat apnī karīmī ke sunā.e mujhe qisse
vo abr-e-karam hai to mire dasht pe barse
jis shaḳhs pe ehsān abhī maiñ ne kiyā hai
mahfūz ḳhudā rakkhe usī shaḳhs ke shar se
kaTne na diyā sahn se is vāste 'tāsīr'
ḳhushbu-e-vafā aatī hai is būḌhe shajar se
tanhai se sahra se na dariya ke bhanwar se
wahshat mujhe hoti hai mere apne hi ghar se
chunna hai mujhe dil bhi abhi qarya-ba-qarya
aankhen bhi uThani hain teri rahguzar se
ek nazar-e-karam ke liye kaun umr guzare
ek bosa-e-lab ke liye kab tak koi tarse
mat apni karimi ke sunae mujhe qisse
wo abr-e-karam hai to mere dasht pe barse
jis shaKHs pe ehsan abhi main ne kiya hai
mahfuz KHuda rakkhe usi shaKHs ke shar se
kaTne na diya sahn se is waste 'tasir'
KHushbu-e-wafa aati hai is buDhe shajar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.