tanhai tumhaari bhi zarurat to nahin hai
tanhā.ī tumhārī bhī zarūrat to nahīñ hai
tum ko bhī kahīñ dard-e-mohabbat to nahīñ hai
muñh pher liyā tum ne hameñ dekhne ke baad
ye chiiz tumhārī kahīñ aadat to nahīñ hai
vo māñgte haiñ aaj gunāhoñ kī muāfī
yā-rab batā de aaj qayāmat to nahīñ hai
maiñ chāhtā huuñ chāñd tumheñ kah ke pukārūñ
phir sochtā huuñ koī himāqat to nahīñ hai
daulat milī to Thiik se milne lage haiñ log
insān kī pahchān ye daulat to nahīñ hai
tanhai tumhaari bhi zarurat to nahin hai
tum ko bhi kahin dard-e-mohabbat to nahin hai
munh pher liya tum ne hamein dekhne ke baad
ye chiz tumhaari kahin aadat to nahin hai
wo mangte hain aaj gunahon ki muafi
ya-rab bata de aaj qayamat to nahin hai
main chahta hun chand tumhein kah ke pukarun
phir sochta hun koi himaqat to nahin hai
daulat mili to Thik se milne lage hain log
insan ki pahchan ye daulat to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.