tanhaiyan jo ras na aaen to kya karen
tanhā.iyāñ jo raas na aa.eñ to kyā kareñ
zaḳhmoñ kī anjuman na sajā.eñ to kyā kareñ
is daur-e-kashmakash meñ mohabbat kā naam bhī
dānista log bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
ik aasrā to chāhiye jiine ke vāste
hālāt kā fareb na khā.eñ to kyā kareñ
dil bhī yahāñ bahut haiñ savālāt bhī bahut
lekin koī javāb na paa.eñ to kyā kareñ
vāqif haiñ ham bhī ishq ke ādāb se magar
dīvāna ḳhud hī log banā.eñ to kyā kareñ
vīrāñ hai pahlī shaam se maqtal ke rāste
ghabrā ke mai-kade ko na jaa.eñ to kyā kareñ
dam ghuT rahe haiñ talḳh haqā.eq ke zahr se
ḳhvāboñ kī bastiyāñ na basā.eñ to kyā kareñ
duniyā ke har fareb ko ehsān maan kar
duniyā kā hausla na baḌhā.eñ to kyā kareñ
tafsīr-e-kā.enāt to āsān hai 'ra.īs'
apne hī dil kā raaz na paa.eñ to kyā kareñ
tanhaiyan jo ras na aaen to kya karen
zaKHmon ki anjuman na sajaen to kya karen
is daur-e-kashmakash mein mohabbat ka nam bhi
danista log bhul na jaen to kya karen
ek aasra to chahiye jine ke waste
haalat ka fareb na khaen to kya karen
dil bhi yahan bahut hain sawalat bhi bahut
lekin koi jawab na paen to kya karen
waqif hain hum bhi ishq ke aadab se magar
diwana KHud hi log banaen to kya karen
viran hai pahli sham se maqtal ke raste
ghabra ke mai-kade ko na jaen to kya karen
dam ghuT rahe hain talKH haqaeq ke zahr se
KHwabon ki bastiyan na basaen to kya karen
duniya ke har fareb ko ehsan man kar
duniya ka hausla na baDhaen to kya karen
tafsir-e-kaenat to aasan hai 'rais'
apne hi dil ka raaz na paen to kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.