tanhaiyon ka koi bhi shikwa nahin kiya
tanhā.iyoñ kā koī bhī shikva nahīñ kiyā
ham ne vafā ke naam pe dhokā nahīñ kiyā
chaupāl apne gaañv kī vīrān ho ga.ī
tum ne daraḳht kaaT ke achchhā nahīñ kiyā
ham saath meñ jiyeñge mareñge bhī saath saath
maiñ ne to aisā koī bhī vā'da nahīñ kiyā
hālāñki aap jiit ga.e ho mire 'azīz
par dostoñ se jiit ke achchhā nahīñ kiyā
'shahzān' ham bhī 'ishq meñ nākām ho ga.e
lekin tumhārī tarh dikhāvā nahīñ kiyā
tanhaiyon ka koi bhi shikwa nahin kiya
hum ne wafa ke nam pe dhoka nahin kiya
chaupal apne ganw ki viran ho gai
tum ne daraKHt kaT ke achchha nahin kiya
hum sath mein jiyenge marenge bhi sath sath
main ne to aisa koi bhi wa'da nahin kiya
haalanki aap jit gae ho mere 'aziz
par doston se jit ke achchha nahin kiya
'shahzan' hum bhi 'ishq mein nakaam ho gae
lekin tumhaari tarh dikhawa nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.