tanhaiyon ke ban mein khaDe unghte daraKHt
tanhā.iyoñ ke ban meñ khaḌe ūñghte daraḳht
gahrī udāsiyoñ meñ haiñ Duube hue daraḳht
sadiyāñ guzar ga.ī haiñ tirī raah dekhte
lauT aa ki dekh jism pe aane lage daraḳht
kis haal meñ kahāñ haiñ vo bichhḌe hue parind
bahtī havā se pūchhte rahte haiñ ye daraḳht
ḳhāna-ḳharābiyoñ meñ ye khultī huī hañsī
mismār khanDaroñ pe ye khulte hue daraḳht
ab tak khile hue haiñ sabhī shāḳhchoñ pe phuul
ab tak hare-bhare haiñ tumhāre chhue daraḳht
thī barg-e-āḳhirī kī yahī āḳhirī duā
maulā hamāre baad bhī phūle phale daraḳht
tanhaiyon ke ban mein khaDe unghte daraKHt
gahri udasiyon mein hain Dube hue daraKHt
sadiyan guzar gai hain teri rah dekhte
lauT aa ki dekh jism pe aane lage daraKHt
kis haal mein kahan hain wo bichhDe hue parind
bahti hawa se puchhte rahte hain ye daraKHt
KHana-KHarabiyon mein ye khulti hui hansi
mismar khanDaron pe ye khulte hue daraKHt
ab tak khile hue hain sabhi shaKHchon pe phul
ab tak hare-bhare hain tumhaare chhue daraKHt
thi barg-e-aKHiri ki yahi aaKHiri dua
maula hamare baad bhi phule phale daraKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.