tanhaiyon ke dasht mein aksar mila mujhe
tanhā.iyoñ ke dasht meñ aksar milā mujhe
vo shaḳhs jis ne kar diyā mujh se judā mujhe
vāraftagī mirī hai ki hai intihā-e-shauq
us kī galī ko le gayā har rāsta mujhe
jaise ho koī chehra nayā us ke rū-ba-rū
yuuñ dekhtā rahā mirā har āshnā mujhe
harf-e-ġhalat samajh ke jo mujh ko miTā gayā
us jaisā us ke baa'd na koī lagā mujhe
pahle hī mujh pe kam nahīñ terī ināyateñ
dam lene de ai gardish-e-daurāñ zarā mujhe
mushkil mujhe Dubonā kināre pe bhī na thā
nāhaq bhañvar meñ laayā mirā nāḳhudā mujhe
ye zindagī ki maut bhī hai jis pe nauha-ḳhvāñ
kis jurm kī na jaane milī hai sazā mujhe
tanhaiyon ke dasht mein aksar mila mujhe
wo shaKHs jis ne kar diya mujh se juda mujhe
waraftagi meri hai ki hai intiha-e-shauq
us ki gali ko le gaya har rasta mujhe
jaise ho koi chehra naya us ke ru-ba-ru
yun dekhta raha mera har aashna mujhe
harf-e-ghalat samajh ke jo mujh ko miTa gaya
us jaisa us ke ba'd na koi laga mujhe
pahle hi mujh pe kam nahin teri inayaten
dam lene de ai gardish-e-dauran zara mujhe
mushkil mujhe Dubona kinare pe bhi na tha
nahaq bhanwar mein laya mera naKHuda mujhe
ye zindagi ki maut bhi hai jis pe nauha-KHwan
kis jurm ki na jaane mili hai saza mujhe
- Book : Rag-e-jan (Pg. 121)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.