tanhaiyon mein ashk bahane se kya mila
tanhā.iyoñ meñ ashk bahāne se kyā milā
ḳhud ko diyā banā ke jalāne se kyā milā
mujh se bichhaḌ ke ret sā vo bhī bikhar gayā
us jaane vaale shaḳhs ko jaane se kyā milā
ab bhī mire vajūd meñ har saañs meñ vahī
maiñ sochtā huuñ us ko bhulāne se kyā milā
tū kyā gayā ki dil mirā ḳhāmosh ho gayā
in dhaḌkanoñ ke shor machāne se kyā milā
apne hī ek dard kā chāra na kar sake
saare jahāñ kā dard uThāne se kyā milā
jis ke liye likhā use vo to na sun sakā
vo giit mahfiloñ ko sunāne se kyā milā
un kā har ek harf hai dil par likhā huā
us dost ke ḳhatoñ ko jalāne se kyā milā
socho zarā ki tum ne zamāne ko kyā diyā
kyuuñ sochte ho tum ko zamāne se kyā milā
tanhaiyon mein ashk bahane se kya mila
KHud ko diya bana ke jalane se kya mila
mujh se bichhaD ke ret sa wo bhi bikhar gaya
us jaane wale shaKHs ko jaane se kya mila
ab bhi mere wajud mein har sans mein wahi
main sochta hun us ko bhulane se kya mila
tu kya gaya ki dil mera KHamosh ho gaya
in dhaDkanon ke shor machane se kya mila
apne hi ek dard ka chaara na kar sake
sare jahan ka dard uThane se kya mila
jis ke liye likha use wo to na sun saka
wo git mahfilon ko sunane se kya mila
un ka har ek harf hai dil par likha hua
us dost ke KHaton ko jalane se kya mila
socho zara ki tum ne zamane ko kya diya
kyun sochte ho tum ko zamane se kya mila
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 36)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.