tanhaiyon mein shor-e-qayamat bapa hai KHair
tanhā.iyoñ meñ shor-e-qayāmat bapā hai ḳhair
kis kī kamī hai yaad nahīñ aa rahā hai ḳhair
lāzim hai ham ko dekhnā jo kuchh falak dikhā.e
ik bevafā ke hoñToñ pe lafz-e-vafā hai ḳhair
tujh se bichhaḌ ke ziist kā imkān hī nahīñ
tū chhoḌ jān-e-jāñ ye mirā mas.ala hai ḳhair
ḳhūn-e-jigar ne surḳh kiyā dast-e-nāz ko
un ko ye lag rahā hai ki rañg-e-hinā hai ḳhair
vo aa.ine ko dekhte haiñ aa.ina unheñ
ik aa.ine ke sāmne ik aa.ina hai ḳhair
tujh ko to ḳhuub ḳhuub hai mere dukhoñ kā 'ilm
tū to mirī hayāt meñ shāmil rahā hai ḳhair
'nāsir' kamāl-e-sher meñ da.avā nahīñ magar
jo kuchh thā mere dil meñ vo sab kah diyā hai ḳhair
tanhaiyon mein shor-e-qayamat bapa hai KHair
kis ki kami hai yaad nahin aa raha hai KHair
lazim hai hum ko dekhna jo kuchh falak dikhae
ek bewafa ke honTon pe lafz-e-wafa hai KHair
tujh se bichhaD ke zist ka imkan hi nahin
tu chhoD jaan-e-jaan ye mera masala hai KHair
KHun-e-jigar ne surKH kiya dast-e-naz ko
un ko ye lag raha hai ki rang-e-hina hai KHair
wo aaine ko dekhte hain aaina unhen
ek aaine ke samne ek aaina hai KHair
tujh ko to KHub KHub hai mere dukhon ka 'ilm
tu to meri hayat mein shamil raha hai KHair
'nasir' kamal-e-sher mein dawa nahin magar
jo kuchh tha mere dil mein wo sab kah diya hai KHair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.