tanwir-e-husn dil mein samati chali gai
tanvīr-e-husn dil meñ samātī chalī ga.ī
zarre ko kā.enāt banātī chalī ga.ī
fitrat ye khel roz dikhātī chalī ga.ī
shakleñ banā banā ke miTātī chalī ga.ī
qaa.il huuñ maiñ kashish kā tirī ai urūs-e-dahr
dām-e-fareb shauq meñ laatī chalī ga.ī
allāh re shabāb kī mastī bharī nazar
fitne qadam qadam pe uThātī chalī ga.ī
hangām-e-naza.a ḳhvāhish-e-takmīl-e-ārzū
dast-e-talab kuchh aur baḌhātī chalī ga.ī
koī jalā rahā thā charāġh-e-mazār ko
lekin sabā ko zid thī bujhātī chalī ga.ī
qudrat ke shāhkār papīhe tirī sadā
ik huuk sī jigar meñ uThātī chalī ga.ī
har haal meñ thī un kī nazar jāzib-e-nazar
'raushan' diloñ pe naqsh biThātī chalī ga.ī
tanwir-e-husn dil mein samati chali gai
zarre ko kaenat banati chali gai
fitrat ye khel roz dikhati chali gai
shaklen bana bana ke miTati chali gai
qail hun main kashish ka teri ai urus-e-dahr
dam-e-fareb shauq mein lati chali gai
allah re shabab ki masti bhari nazar
fitne qadam qadam pe uThati chali gai
hangam-e-naza KHwahish-e-takmil-e-arzu
dast-e-talab kuchh aur baDhati chali gai
koi jala raha tha charagh-e-mazar ko
lekin saba ko zid thi bujhati chali gai
qudrat ke shahkar papihe teri sada
ek huk si jigar mein uThati chali gai
har haal mein thi un ki nazar jazib-e-nazar
'raushan' dilon pe naqsh biThati chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.