tanz karna to unki aadat hai
tanz karnā to un kī aadat hai
aaj kuchh aur hī sharārat hai
ġhair se hañs ke aap milte haiñ
aisī bhī ham se kyā adāvat hai
mujh se ḳhvāboñ meñ milte rahte haiñ
mujh par un kī baḌī ināyat hai
jab bhī fursat ho aa ke le lenā
merā dil aap kī amānat hai
un ke ghar kā tavāf kartā huuñ
ye mere vāste ziyārat hai
kyā kahūñ apnā hāl-e-dil jānāñ
haal merā ḳhud hī vazāhat hai
mere lahje meñ inkisārī hai
mere purkhoñ kī ye virāsat hai
sang-e-marmar meñ dil dhaḌaktā hai
taaj kahne ko ek imārat hai
rote bachche ko gar hañsāo tum
ye bhī ik tarah kī ibādat hai
kal talak jo the rāhzan mash.hūr
āj-kal un kī hī vazārat hai
tujh ko 'sāgar' pata nahīñ shāyad
shā.erī ishq kī alāmat hai
tanz karna to un ki aadat hai
aaj kuchh aur hi shararat hai
ghair se hans ke aap milte hain
aisi bhi hum se kya adawat hai
mujh se KHwabon mein milte rahte hain
mujh par un ki baDi inayat hai
jab bhi fursat ho aa ke le lena
mera dil aap ki amanat hai
un ke ghar ka tawaf karta hun
ye mere waste ziyarat hai
kya kahun apna haal-e-dil jaanan
haal mera KHud hi wazahat hai
mere lahje mein inkisari hai
mere purkhon ki ye wirasat hai
sang-e-marmar mein dil dhaDakta hai
taj kahne ko ek imarat hai
rote bachche ko gar hansao tum
ye bhi ek tarah ki ibaadat hai
kal talak jo the rahzan mashhur
aaj-kal un ki hi wazarat hai
tujh ko 'sagar' pata nahin shayad
shaeri ishq ki alamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.