tanzim-e-dahr ki to sahi KHair-o-shar ke sath
tanzim-e-dahr ki to sahi KHair-o-shar ke sath
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
tanzīm-e-dahr kī to sahī ḳhair-o-shar ke saath
lekin ḳhatā-o-sahv lagā kar bashar ke saath
fitrat kā ye mazāq to dekho bashar ke saath
ik husn-e-mo'atabar bhī hai nā-mo'tabar ke saath
ḳhurshīd ko chaman meñ gavārā na ho sakīñ
shabnam kī zau-fishāniyāñ nūr-e-sahar ke saath
har sub.h kī numūd amānat hai shaam kī
ye dard-e-hijr ḳhatm na hogā sahar ke saath
kuchh rāz-e-husn-o-ishq bhī duniyā pe ho ayaañ
aao nazar milāo hamārī nazar ke saath
vo ḳhush-nasīb hai jise tū ne atā kiyā
soz-e-tamām zindagī-e-muḳhtasar ke saath
gahrā.iyoñ se jis kā ta'alluq na dard se
aisī duā ko rabt nahīñ hai asar ke saath
tum laakh be-niyāz raho ham ne pā liyā
vo rabt-e-ḳhās jo hai nazar ko nazar ke saath
ye baat dūsrī hai ki manzil na pā sake
chal to rahe haiñ aaj bhī ham rāhbar ke saath
kyoñ munfa.il hoñ zahmat-e-chāragarī se ham
ab ruuh ko qarār hai dard-e-jigar ke saath
merā vajūd vahm to fard-e-amal bhī vahm
maiñ kab harīm-e-zāt meñ thā ḳhair-o-shar ke saath
tanzim-e-dahr ki to sahi KHair-o-shar ke sath
lekin KHata-o-sahw laga kar bashar ke sath
fitrat ka ye mazaq to dekho bashar ke sath
ek husn-e-mo'atabar bhi hai na-mo'tabar ke sath
KHurshid ko chaman mein gawara na ho sakin
shabnam ki zau-fishaniyan nur-e-sahar ke sath
har subh ki numud amanat hai sham ki
ye dard-e-hijr KHatm na hoga sahar ke sath
kuchh raaz-e-husn-o-ishq bhi duniya pe ho ayan
aao nazar milao hamari nazar ke sath
wo KHush-nasib hai jise tu ne ata kiya
soz-e-tamam zindagi-e-muKHtasar ke sath
gahraiyon se jis ka ta'alluq na dard se
aisi dua ko rabt nahin hai asar ke sath
tum lakh be-niyaz raho hum ne pa liya
wo rabt-e-KHas jo hai nazar ko nazar ke sath
ye baat dusri hai ki manzil na pa sake
chal to rahe hain aaj bhi hum rahbar ke sath
kyon munfail hon zahmat-e-chaaragari se hum
ab ruh ko qarar hai dard-e-jigar ke sath
mera wajud wahm to fard-e-amal bhi wahm
main kab harim-e-zat mein tha KHair-o-shar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.