Tapakta hai mere andar lahu jin aasmanon se
Tapaktā hai mire andar lahū jin āsmānoñ se
koī to rabt hai un kā zamīñ kī dāstānoñ se
dhuāñ uThne lagā jab sang-e-marmar kī chaTānoñ se
sitāroñ ne hameñ āvāz dī kachche makānoñ se
samundar ke parindo sāhiloñ ko lauT bhī jaao
bahut Takrā liye ho tum hamāre bādbānoñ se
vo andar kā safar thā yā sarāb-e-ārzū yaaro
hamārā fāsla baḌhtā gayā donoñ jahānoñ se
lachakte bāzuoñ kā lams to pur-kaif thā 'tal.at'
magar vāqif na the ham pattharoñ kī dāstānoñ se
Tapakta hai mere andar lahu jin aasmanon se
koi to rabt hai un ka zamin ki dastanon se
dhuan uThne laga jab sang-e-marmar ki chaTanon se
sitaron ne hamein aawaz di kachche makanon se
samundar ke parindo sahilon ko lauT bhi jao
bahut Takra liye ho tum hamare baadbanon se
wo andar ka safar tha ya sarab-e-arzu yaro
hamara fasla baDhta gaya donon jahanon se
lachakte bazuon ka lams to pur-kaif tha 'talat'
magar waqif na the hum pattharon ki dastanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.